bad-mast nigahon ke mastane hazaron hain hathon mein liye dil ke nazrane hazaron hain us aariz-e-taban ke diwane hazaron hain ek shama farozan hai parwane hazaron hain kuche se guzar un ke ek roz hua hoga us roz se wabasta afsane hazaron hain jaane hue gar apne anjaane hain gham kaisa jab shahr-e-gulistan mein anjaane hazaron hain ye zikr-e-mai-e-athar kya pyas bujhaega pini hai agar waiz maikhane hazaron hain us but ke taghaful ka kya khak asar lete aazar ka zamana hai but-khane hazaron hain hum ok se pi lenge paimana hata lena 'azad' yahan jhute paimane hazaron hain