dosti kya hai dushmani kya hai jo na samjhe wo aadmi kya hai aap puchhen to koi baat bane warna waqat hi baat ki kya hai muskura kar gulon ne dekh liya do ghadi ki shaguftagi kya hai ek muddat se gham-shanasa hun main nahin jaanta khushi kya hai sae jalwe hain husn-e-jaanan ke chand tare ye raushni kya hai jurm-e-na-karda ki saza ke liye doston ki yahan kami kya hai sehr-kari hai lafz-o-mani ki warna 'azad' shaeri kya hai