bad-nasib banjara us zamin ka basi hai jo zamin ulfat ki muddaton se pyasi hai har taraf andhera hai har taraf udasi hai shahr-e-pur-ziya mein bhi raushni zara si hai jo sadaen deta hai kucha-e-nigaran mein ajnabi nahin koi shakl aashna si hai kya khizan ka phir mausam aa gaya gulistan mein kyon gulon ke chehron par itni bad-hawasi hai dekhiye khuda jaane kis tarah guzarti hai baat yun to kahne ko kuchh nahin zara si hai sadgi ka partaw hai mera har lab-o-lahja aap kaise kahte hain ye ghazal siyasi hai saf karti rahti hai sukhe khar-o-gul aksar dosto nasim-e-subh mausamon ki dasi hai zawiye nigahon ke meri samt hain 'hairat' khamushi mein poshida un ki ek haya si hai