bada ehsan hum farma rahe hain ki un ke khat unhen lauta rahe hain nahin tark-e-mohabbat par wo raazi qayamat hai ki hum samjha rahe hain yaqin ka rasta tai karne wale bahut tezi se wapas aa rahe hain ye mat bhulo ki ye lamhat hum ko bichhadne ke liye milwa rahe hain tajjub hai ki ishq-o-ashiqi se abhi kuchh log dhoka kha rahe hain tumhein chahenge jab chhin jaogi tum abhi hum tum ko arzan pa rahe hain kisi surat unhen nafrat ho hum se hum apne aib khud ginwa rahe hain wo pagal mast hai apni wafa mein meri aankhon mein aansu aa rahe hain dalilon se use qail kiya tha dalilen de ke ab pachhta rahe hain teri banhon se hijrat karne wale nae mahaul mein ghabra rahe hain ye jazb-e-ishq hai ya jazba-e-raham tere aansu mujhe rulwa rahe hain ajab kuchh rabt hai tum se ki tum ko hum apna jaan kar thukra rahe hain wafa ki yaadgaren tak na hongi meri jaan bas koi din ja rahe hain