bada kathin hai rasta jo aa sako to sath do ye zindagi ka fasla mita sako to sath do bade fareb khaoge bade sitam uthaoge ye umr-bhar ka sath hai nibha sako to sath do jo tum kaho ye dil to kya main jaan bhi fida karun jo main kahun bas ek nazar luta sako to sath do main ek gharib-e-be-nawa main ek faqir-e-be-sada meri nazar ki iltija jo pa sako to sath do hazar imtihan yahan hazar aazmaishen hazar dukh hazar gham utha sako to sath do ye zindagi yahan khushi ghamon ka sath sath hai rula sako to sath do hansa sako to sath do