mera mazi mujhse kaTa nahin mera haal mujhse juda kiya

mera mazi mujh se kata nahin mera haal mujh se juda kiya
mujhe noch lene ke shauq ne tujhe kitna wahshi bana diya

mere zikr pe rahi kajrawi mujhe ahl-e-mahfil bata rahe
kabhi mangta tha duaon mein wahi nam us ne bhula diya

main jo ek ahd se qafas mein tha to ye than kar main riha hua
kahin koi pinjra dikha mujhe to har ek parinda uda diya

mujhe ek faqir ne kah diya tere dil ki puri murad ho
so teri talash mein ek din tera naqsh main ne mita diya

teri sab dalilon ke bawajud mera jurm sabit na ho saka
tera man rakhne ko yun kiya ki tujhe hi munsif bana diya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close