badal badal ke teri be-rukhi ne dekha hai ye hadsa bhi meri bebasi ne dekha hai mujhe khabar hai ki zulmat thahar nahin sakti mujhe pata hai ise raushni ne dekha hai meri ghazal hai sulagte huon ne dekha hai ki mera aks meri shairi ne dekha hai mein jhum jhum gaya le ke aasra us ka ki meri samt achanak khushi ne dekha hai bichhad ke jaise dobara bhi aa mila hun use kuchh is ada se mujhe zindagi ne dekha hai jo pure chand se badh kar hasin hai yaro wo ek sitara hai jis ko sabhi ne dekha hai ye raaz chhup nahin sakta hai meri basti ka sitam ka sail-e-rawan har kisi ne dekha hai tu jis bhi rup mein aae to jaan jaenge khayal-e-yar tujhe aashiqi ne dekha hai wahi 'nisar-turabi' jabin ka hasil hai wo ek sajda jise bandagi ne dekha hai