ye jo chehron pe liye gard-e-alam aate hain ye tumhaare hi pasheman-e-karam aate hain itna khul kar bhi na ro jism ki basti ko bacha barishen kam hun to sailab bhi kam aate hain tu suna teri masafat ki kahani kya hai mere raste mein to har gam pe kham aate hain khol chehron pe chadhane nahin aate hum ko ganw ke log hain hum shahr mein kam aate hain wo to 'bedil' koi sukha hua patta hoga tere aangan mein kahan un ke qadam aate hain