badal diye hain mukammal nisab ab ke se

badal diye hain mukammal nisab ab ke se
padhi hai dard ki aisi kitab ab ke se

kaha hai baad-e-saba ne ki be-qarar hain wo
chalo ki koi to aaya jawab ab ke se

ghutan ye sine ki ghatti nazar nahin aati
jude hain kaise na jaane hisab ab ke se

ye kaun puchhega hum se kahan kise fursat
jo dariya-dil the hue kyun sarab ab ke se

bichhad ke tujh se kahan nind aai ab ke bhi
mile hain jagti aankhon ke khwab ab ke se

kisi ki yaad ka muflar zara nikal hi lo
ki hone wala hai mausam kharab ab ke se

ajib baat hai dil sun nahin raha meri
kisi ka ho gaya khana-kharab ab ke se

jo baat hogi barabar ki hogi ab 'aslam'
ki dil bhi ho gaya mera nawab ab ke se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close