dil ki baaten dil se karna itna bhi aasan nahin

dil ki baaten dil se karna itna bhi aasan nahin
khud ki khatir khud mein rahna itna bhi aasan nahin

pal jo guzre teri khatir mad-hoshi ke aalam mein
khamoshi mein sunte rahna itna bhi aasan nahin

hijr ki shab jab chand ko dekha to mujh ko mahsus hua
apne aap mein til til marna itna bhi aasan nahin

aap wafa ke paikar the hum hi wafa ko samjhe nahin
khud ko hi ilzam ye dena itna bhi aasan nahin

tum se bichhad ke yaad tumhaari shaz-o-nadir hi aai
dubi aankhon se ye kahna itna bhi aasan nahin

'aslam' aap hain sab se achchhe aur us par masum bahut
phulon ke ye nashtar sahna itna bhi aasan nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close