badan hai sabz aur shadab lekin ruh pyasi hai mere andar hazaron banjh pedon ki udasi hai kisi ke dil se ab jazbaat ka rishta nahin qaem hansi bhi maslahat-amez aansu bhi siyasi hai pae-izhaar kuchh aisa nahin hai jo anokha ho har ek jazba purana hai har ek ehsas basi hai hamein har waqt ye ehsas daman-gir rahta hai pade hain dher sare kaam aur mohlat zara si hai simat kar rah gai hai wusat-e-duniya hatheli bhar hamara masala ab bhi hamari khud-shanasi hai laga hun main 'talab' is sach ko jhutlane mein barson se main kal aaqa tha jis ka ab mere bete ki dasi hai