bada ajib tha us ka widaa hona bhi na ho saka mera us se lipat ke rona bhi fasilen chhune lagi hain ab aasmanon ko ajab hai ek dariche ka band hona bhi na koi khwab hai aankhon mein ab na bedari tere sabab tha mera jagna bhi sona bhi tere faqir ko itni si ja bhi kafi hai jo tere dil mein nikal aae ek kona bhi ye kam nahin jo mayassar hai zindagi se mujhe kabhi-kabhaar ka hansna udas hona bhi tera guzarna hamwar raston se hamein hamare panw mein kante kabhi chubhona bhi chala gaya koi aankhon mein gard udata hua na kaam aaya koi totka na tona bhi 'talab' badi hi aziyyat ka kaam hota hai bikharte tutte rishton ka bojh dhona bhi