badan ke dasht tak ek bar mujh ko rasai dijiye sarkar mujh ko chala aaunga dauda bhagta main pukaro to sahi ek bar mujh ko kisi din le na baithe jaan jaanan tere inkar ki takrar mujh ko tumhaare bin bhala lagta nahin hai koi mausam koi tehwar mujh ko koi zanjir pairon mein padi hai bulata hai bahut ghar-bar mujh ko ye tere jannati bande khudaya samajhte hain zalil-o-khwar mujh ko