darun-e-khana-e-dil koi hao-hu nahin hai ragon mein daudta phirta hai kuchh lahu nahin hai main din ko raat likhkhun aur siyah raat ko din munafiqat to miyan shairon ki khu nahin hai ye apni jaan bhi main tum pe war sakta hun ye sachchi baat hai is mein koi ghulu nahin hai mere liye yahi kafi hai tu mayassar hai so ab mazid mujhe koi aarzu nahin hai ye baat mujh pe bahut der mein khuli hai 'wasim' ki mere qad ke barabar mera adu nahin hai