badan ke pas khushi ki asas ho kar bhi rakha hai gham se talluq udas ho kar bhi zalil jab se kiya hai amir logon ne nahin wo mangta kuchh bhuk pyas ho kar bhi na kaam-kaj na roti so chal pade paidal qadam ruke hi kahan itni yas ho kar bhi hui hai rang-e-mohabbat mein titliyon ki numud badan ne dekh liya bad-hawas ho kar bhi ghurur toda hai rawan ka mere angad ne hila sake na jo pa ko pachas ho kar bhi asar mein sara zamana waba ke hai lekin gira na hausla khauf-o-hiras ho kar bhi kisi ki mast-nigahi ne kar diya be-khud lagaya us ko gale na-shanas ho kar bhi yun to guzarte hai achchhe bure hazaron khayal milega kya tumhein 'anwar' udas ho kar bhi