aish-e-hazir bhi kahan gham se rihai dega lazzat-e-qurb mein ehsas-e-judai dega ek hi aks har ek aks pe hoga hawi lakh chehron mein wahi shakhs dikhai dega uf ye ikhlas tera uf ye tera tarz-e-tapak tu mujhe kaun sa dukh ai mere bhai dega hae wo gham ki milega mujhe shahnai se hae wo dukh jo tera dast-e-hinai dega mere ehsas se zahir hai sadaqat meri main jo chahunga wahi rang dikhai dega sar-phira lakh sahi phir bhi 'munawwar' kab tak barf-e-ehsas ko tu shola-qabai dega