badan ki aanch se chehra nikhar gaya kaisa ye meri ruh mein shoala utar gaya kaisa hazar aankhon se main us ka muntazir aur wo mere qarib se ho kar guzar gaya kaisa ye kis hawa ki ana todti rahi hum ko hamare khwabon ki khirman bikhar gaya kaisa dikha ke ek jhalak chand ho gaya ojhal chadha na tha ki ye dariya utar gaya kaisa kis aaftab se tarsil-e-nur jari hai dhanak ka rang zamin par bikhar gaya kaisa na apne qad ka na apne hajm ka hai ehsas khala ka dasht subuk-bar kar gaya kaisa kisi guman ke sahra mein kaisi khak udi kisi yaqin ka partaw ubhar gaya kaisa wo tira-chashm ki suraj se bad-guman raha khud apne sae ki aahat se dar gaya kaisa