badan ki qabr mein khwabon ki lash hai main hun qadam qadam pe hi fikr-e-maash hai main hun zamane bhar mein to ye raaz fash hai main hun magar mujhe to meri hi talash hai main hun har ek zarb nae tajarbe ukere hai hayat hai ki koi sang-tarash hai main hun lagengi boliyan jannat ki ab sar-e-bazar bikegi khuld-e-barin uf winash hai main hun jo waqt mazi mein guzra hai kash ruk jata labon pe aaj faqat lafz-e-kash hai main hun har ek qadam pe nai hasraten panapti hain na jaane kaisa ye ek moh-pash hai main hun kyun lamha lamha hi badhti hi ja rahi hai 'shahab' ye guzre waqt ki kaisi kharash hai main hun