rah-e-gham se hayat guzri hai muzmahil si baraat guzri hai hae ye kis tarah guzarni thi ban ke jo hadsat guzri hai zabt-e-gham ho ki shiddat-e-gham ho had se har ek baat guzri hai de gae sath zindagi ka gham umr kya gham ki raat guzri hai dil pe aisi guzar gai hamdam jaise ek wardat guzri hai chhod kar ja raha hai kyon ai gham zindagi tere sath guzri hai ashk-bar hai hayat muddat se raqs karti mamat guzri hai kal tere sath na guzar jae aaj jo mere sath guzri hai jaise guzri ho ehtimamon mein yun ghamon mein hayat guzri hai us ke bin puchh mat ye 'ashraf' se kis tarah kal ki raat guzri hai