badan ki qaid mein hai gham mujhe teri judai ka mere aaqa mujhe bhi ek mauqa de rihai ka idhar ye dukh alag ki ab talak lanka mein hain sita udhar be-jaan hota ja raha hai jism bhai ka siyasat ho ki duniya ho wo aa jati hai ghutnon par nikal padta hai jab kirdar koi raushnai ka hamara yar kal shab teri ek taswir le aaya dikhane lag gaya bimar ko parcha dawai ka mujhe to dekh kar aise kam az kam muskura to mat bura bhi man sakta hai sanam chuda kalai ka kabhi ghanton pade rahte the man ki god mein is par chalo man nam rakhte hain ‘wirat’ is chaarpai ka