ye mera mazaq-e-mohabbat nahin hai

ye mera mazaq-e-mohabbat nahin hai
main kaise kahun gham mein rahat nahin hai

ye kya kah gaya ujlat-e-arz-e-gham mein
mujhe tum se koi shikayat nahin hai

mohabbat samajh ki hadon se hai bahar
samajh mein jo aae mohabbat nahin hai

pashemaniyan hain fusun-kariyan hain
in aankhon mein sab hai murawwat nahin hai

gham-e-dil kaha tum se apna samajh kar
shikayat na samjho shikayat nahin hai

samajh lo use ek saz-e-shikasta
ki jis dil mein dard-e-mohabbat nahin hai

na chhalke tera aks-e-taswir jin mein
un ashkon se daman ki zinat nahin hai

unhen 'shauq' apna gham-e-dil suna de
koi aur rahat ki surat nahin hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close