badan ki rakh se raushan sharara kar ke dekhunga main apni jaan ko ab ke sitara kar ke dekhunga wo tanha justuju bechain si rahti hai aankhon mein qayamat aa bhi jae to gawara kar ke dekhunga qaza aksar mere kuche se be-parda guzarti hai use bhi khelte hanste ishaara kar ke dekhunga ye socha hai lab-e-larzan pe rakh kar tishnagi sari tujhe bhi ai samundar istiara kar ke dekhunga na chhat hogi na dar hoga na sahn-e-yar ka gosha main shahr-e-afiyat mein yun guzara kar ke dekhunga badan kashti bhanwar khwahish irada baadban jaisa junun-dariya chalo khud ko kinara kar ke dekhunga safar mein khair-o-shar ke baad wo manzil bhi aaegi jahan 'khurshid' apna goshwara kar ke dekhunga