jabr ne jab mujhe ruswa sar-e-bazar kiya sabr ne mere mujhe sahab-e-dastar kiya meri lafzon ki imarat giri kaam aai mere meri ghazlon ne mere nam ko minar kiya apne hathon mein kudurat ki kudalen le kar mere apnon ne meri zat ko mismar kiya yaad jab aaya koi wada-e-tamir mujhe main ne tab jism ki har por ko meamar kiya aur phir sabz ishaara hua us par se jab main ne ek jast mein dariya-e-bala par kiya aaj phir khak bahut roi lipat kar mujh se aaj phir qabr ne baba ki mujhe pyar kiya chand ne raat mere sath mere dukh bante subh suraj ne bhi girya sar-e-diwar kiya aag ashjar ko lagne se kai din pahle main ne ro ro ke parindon ko khabar-dar kiya aisa matam kabhi dariya ka na dekha na suna jaane kis pyas ne pani ko aza-dar kiya jab hawa dene lagi thande dilase mujh ko kuchh charaghon ne bhi afsos ka izhaar kiya dekh kar jalti hui jhonpadi kal shab 'wasif' main ne soe hue darwesh ko bedar kiya