badan ko chhu len tere aur surkh-ru ho len bikharna hi hai to hum kyun na mushkbu ho len chalen hain ishq ki karne agar ibaadat hum baha ke ashk zara pahle ba-wazu ho len chhupa ke khwabon khayalon ko dil ke goshe mein zara si der haqiqat se ru-ba-ru ho len baras gae to bhala aab ke siwa kya hain un aansuon ki hai qimat ki jo lahu ho len kitab-e-dil ko waraq-dar-waraq dikha denge zara hum aap se tum aur tum se tu ho len na mujh mein main hi rahun aur na tujh mein tu hi rahe milen kuchh aise ki donon hi hu-ba-hu ho len safar wafa ka adhura adhura hai jaan lo 'nayab' ki jab talak na dil-o-jaan lahu lahu ho len