hona hi kya zarur the ye do-jahan hain kyun allah ek fareb mein kaun-o-makan hain kyun sunte hain ek dard to uthta hai bar-bar us ki khabar nahin hai ki aansu rawan hain kyun in be-niyaziyon mein bhi shan-e-niyaz hai sajde nahin pasand to phir aastan hain kyun jis gulistan mein roz tadapti hain bijliyan yarab usi chaman mein ye phir aashiyan hain kyun is ka hamein malal hai hum kyun badal gae is ka nahin malal ki wo bad-guman hain kyun jab dil nahin raha to tamanna ka kaam kya jab karwan nahin to pas-e-karwan hain kyun 'bahzad' un ke hijr mein ghabra raha hai dil ab kya kahen kisi se ki bas khanuman hain kyun