badan ko jaan se juda ho ke zinda rahna hai ye faisla hai fana ho ke zinda rahna hai yahi nahin ki mere gird khinchni hain haden mere khuda ne khuda ho ke zinda rahna hai hazaron log the tauq-e-ana sajae hue faqat mujhe hi riha ho ke zinda rahna hai mujhe to khair shab-e-hijr mar dalegi tumhein to mujh se juda ho ke zinda rahna hai durust hai ki judai mein maut aa jae magar ye kya ki khafa ho ke zinda rahna hai kisi ko maut na aai kisi ke marne par sabhi ne dukh se siwa ho ke zinda rahna hai