bichhad gaya hai kahan kaun kuchh pata hi nahin safar mein jaise koi apne sath tha hi nahin kisi se rabt badhaen tu mat khafa hona ki dil mein ab teri yaadon ka silsila hi nahin sab apne apne masiha ke intizar mein hain kisi ka jaise zamane mein ab khuda hi nahin ek umr kat gai kaghaz siyah karte hue qalam ko apne jo likhna tha wo likha hi nahin 'qamar' wo shakhs hamare nagar mein kya aaya buton ko bhi hai gila koi pujta hi nahin