badan ko khak kiya aur lahu ko aab kiya phir is ke baad murattab naya nisab kiya thakan samet ke sadiyon ki jab gire khud par tujhe khud apne hi andar se bazyab kiya phir is ke baad tere ishq ko lagaya gale har ek sans ko apne liye azab kiya agar wajud mein aa kar use na milna tha hamein kyun bhej ke is dahr mein kharab kiya usi ne chand ke pahlu mein ek charagh rakha usi ne dasht ke zarron ko aaftab kiya