bazm-e-sukhan ko aap ki dil-gir chal pade 'ghaalib' kai chale hain kai 'mir' chal pade jannat ki kya bisat ki wo chal ke aaegi meri taraf to wadi-e-kashmir chal pade harakat mein aa gae hain sabhi rang-e-khal-o-khat un ki nazar ke sehr se taswir chal pade dekha jo mujh ko aap ki palken jhapak gain ek jism-e-na-tawan pe kai tir chal pade qaidi riha hue the pahan kar nae libas hum to qafas se odh ke zanjir chal pade toda nahin hai shakh se khush thi bakaoli hum le ke us ke phul ki taswir chal pade pucha kisi ne aap ko jaana hai kis taraf hum log su-e-wadi-e-kashmir chal pade 'saqib' hum apne ganw ki barbaadiyon ke baad is dil mein le ke hasrat-e-tamir chal pade