badan ko phunkti hain naghma-khwaniyan pyare surud-e-ishq na chheden jawaniyan pyare ye barg-e-zard ki bikhre pade hain rahon mein yahi hain mausam-e-gul ki nishaniyan pyare qadam qadam gham-e-hijran ki be-panahi mein suna rahi hai mohabbat kahaniyan pyare koi umid na hoti to ji bahal jata rula rahi hain teri mehrbaniyan pyare charagh-e-hijr jalati rahi hain sari raat sharik-e-haal meri khun-fishaniyan pyare khila rahi hain gul-e-zakhm dida-o-dil mein karishma-saz teri dilsitaniyan pyare har ek taraf se lapakta hai dil pe kaunda sa ki tere husn ki hain qahar-maniyan pyare dikha rahi hain tujhe be-shumar aaine meri nigah ki ye bad-gumaniyan pyare tujhe kuchh aur bhi afsurda dekhte hain 'nadim' tujhe to ras nahin shadmaniyan pyare