badan pe apne sarapa azab pahne hue phir aaj nikla hai sahra sarab pahne hue har ek shakhs ki nazron ko kar gaya uryan ye kaun guzra yahan se naqab pahne hue hamare jism ki diwar gir na jae kahin tumhaare hijr ka mausam hai aab pahne hue chaman se khushbu nikal kar hawa se puchhti hai kisi ko dekha hai tum ne gulab pahne hue hamare takiye pe kal nind sar patakti rahi hamari aankh thi ek aisa khwab pahne hue kisi ne hindawi to rekhta kisi ne kaha zaban-e-urdu hai kya kya khitab pahne hue koi bhi sinf-e-sukhan is tarah nahin 'dilbar' ghazal hi tanha hai har ek nisab pahne hue