hum kahan saz pe gane ko ghazal kahte hain apne dukh-dard bhulane ko ghazal kahte hain warna be-jaan se lafzon ki haqiqat kya hai tujh se milne ke bahane ko ghazal kahte hain dhaal kar tujh ko takhayyul ke hasin paikar mein ruth jae to manane ko ghazal kahte hain aap ke dil mein utar jae tajjub kya hai hum to rag rag mein samane ko ghazal kahte hain sard jazbaat mein ehsas ki chingari se raat-din aag lagane ko ghazal kahte hain sakht chattan ya sanglakh zamin par 'nazim' pyar ka phul khilane ko ghazal kahte hain