badan pe zakhm sajae lahu labaada kiya har ek sang se yun hum ne istifada kiya hai yun ki kuchh to baghawat-sirisht hum bhi hain sitam bhi us ne zarurat se kuchh ziyaada kiya hamein to maut bhi de koi kab gawara tha ye apna qatl to bil-qasd bil-irada kiya bas ek jaan bachi thi chhidak di rahon par dil-e-gharib ne ek ehtimam sada kiya jo jis jagah ke tha qabil use wahin rakkha na ziyaada kam kiya hum ne na kam ziyaada kiya bacha liya hai jo sar apna sakht nadim hain magar ye apna tahaffuz to be-irada kiya na lautne ka hai rasta na thaharne ki hai ja kidhar ka aaj junun ne mere irada kiya