badan se ruh ham-aghosh hone wali thi

badan se ruh ham-aghosh hone wali thi
phir is ke baad subuk-dosh hone wali thi

nasib padh ke mera ilm-e-ghaib ki dewi
yaqin jaaniye behosh hone wali thi

na sirf tegh ki pi kar mere lahu ki sharab
zamin-e-dasht bhi madhosh hone wali thi

nigar-khana-e-dil mein ye dhadkanon ki ghadi
tere na aane se khamosh hone wali thi

main ek ladka wafa-dariyon ka parcham-dar
wo ek ladki jafa kosh hone wali thi

meri jawani talash-e-maash mein 'hashim'
watan se dur faramosh hone wali thi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close