zakhm ko phul lahu ko jo hina kahte hain un ko shair nahin shair ka chacha kahte hain hum to patli si chhadi bhi nahin kahte us ko log aulad ko piri ka asa kahte hain sirf afsar use kahna to koi baat nahin hum to sahab ko clerkon ka khuda kahte hain shadiyan apni kiya karte hain jo le ke talaq un ko sab log gada ibn-e-gada kahte hain us ko pite hi kiya karta hun mein sair-e-falak aasmani use sab log baja kahte hain aakhirash ho hi gaya shaikh se aur hum se milap wo bhatija hamein hum un ko chacha kahte hain sun ke aawaz-e-azan mis ne ye puchha 'hashim' is qadar chikh ke masjid mein ye kya kahte hain