badan se ruh rukhsat ho rahi hai mukammal qaid ghurbat ho rahi hai main khud tark-e-talluq par hun majbur kuchh aisi hi tabiat ho rahi hai jafa un ki dil-e-zud-ashna par ba-miqdar-e-mohabbat ho rahi hai khuda se mil gaya hai husn-e-kafir khudai par hukumat ho rahi hai nahin tanhai-e-zindan mukammal mujhe saye se wahshat ho rahi hai ye tum hans hans ke baaten kar rahe ho ki taqsim-e-jarahat ho rahi hai agar mashrab nahin badla hai 'simab' to kyun tajdid-e-baiat ho rahi hai