bade adab se ghurur-e-sitam-garan bola jab inqalab ke lahje mein be-zaban bola takoge yunhi hawaon ka munh bhala kab tak ye na-khudaon se ek roz baadban bola chaman mein sab ki zaban par thi meri mazlumi mere khilaf jo bola to baghban bola yahi bahut hai ki zinda to ho miyan-sahab zamana sun ke mere gham ki dastan bola hisar-e-jabr mein zinda badan jalae gae kisi ne dam nahin mara magar dhuan bola asar hua to ye taqrir ka kamal nahin mera khulus mukhatab tha main kahan bola kaha na tha ki nawazenge hum 'hafiz' tujhe uda ke wo mere daman ki dhajjiyan bola