bazm-e-takallufat sajaane mein rah gaya main zindagi ke naz uthane mein rah gaya tasir ke liye jahan tahrif ki gai ek jhol bas wahin pe fasane mein rah gaya sab mujh pe mohr-e-jurm lagate chale gae main sab ko apne zakhm dikhane mein rah gaya khud hadsa bhi maut pe us ki tha dam-ba-khud wo dusron ki jaan bachane mein rah gaya ab ahl-e-karwan pe lagata hai tohmaten wo ham-safar jo hile bahane mein rah gaya maidan-e-kar-zar mein aae wo qaum kya jis ka jawan aaina-khane mein rah gaya wo waqt ka jahaz tha karta lihaz kya main doston se hath milane mein rah gaya sunta nahin hai muft jahan baat bhi koi main khali hath aise zamane mein rah gaya bazar-e-zindagi se qaza le gai mujhe ye daur mere dam lagane mein rah gaya ye bhi hai ek kar-e-numayan 'hafiz' ka kya sada-lauh kaise zamane mein rah gaya