baDe hi tez chubhte hain ye lahje mar dete hain

bade hi tez chubhte hain ye lahje mar dete hain
mujhe aksar ye apnon ke rawayye mar dete hain

jise apna samajhte hain wahi taklif deta hai
ye dar dar ja pe hain khulte dariche mar dete hain

jise hum tul dete hain takalluf bartaraf ho kar
talluq se bandhe aksar wo rishte mar dete hain

bahut taklif dete hain wo qisse na-shanasi ke
hamesha be-sabab guzren wo lamhe mar dete hain

nahin malum hote hain magar malum hote hain
bahut madum hote hain wo jazbe mar dete hain

jinhen jaana nahin hota wo aksar laut jate hain
achanak se khafa ho kar ye apne mar dete hain

tumhaare samne aa kar ye luknat si jo padti hai
adhure be-zaban ho ke ye jumle mar dete hain

meri koshish ye hoti hai meri baaten karo mujh se
zamane bhar ke hote hain wo qisse mar dete hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close