har aas tod ke jab hum subuk saba se hue nigah-e-yar ke andaz aashna se hue teri talab mein ajab marhalon se guzre hain kabhi to khud se kabhi bad-guman khuda se hue ye zoam tha ki hamin se hai un ka nam-o-nishan bichhad ke un se hamin be-nishan hawa se hue labon pe shor-e-tabassum hai dil mein sannata hue do lakht juda hum jo aashna se hue kafan urus-e-maani ka jama-e-alfaz khayal jaan-ba-lab tangi-e-qaba se hue