bade yaqin se koi is intizar mein hai tera visal ka wada isi bahaar mein hai kuchh aur waqt lagega zara to sabr karo jo tishnagi ka masiha hai regzar mein hai main apne dil ko bachaun to kis tarah jaanan kahan bachega jo teri nazar ki mar mein hai har ek shai hai meri justuju ke pahlu mein meri hayat mere hi to ikhtiyar mein hai mera sawal hai ab moajizon ke hone par ye khak ab bhi shararon ke intizar mein hai bas ek lafz ne tari kiya tha wajd koi ye kaenat abhi bhi usi khumar mein hai koi to puchh ke aae maqam 'kafir' ka sukhnawaron ke qabile mein kis shumar mein hai