didar tere husn ka bas aankh bhar karun aur phir isi surur mein pahron basar karun misron mein dhal ke aap ke dil mein utar saken itna main har khayal ko barik-tar karun ai zindagi bata mujhe tu ne diya hai kya tera yaqin karun bhi to kis baat par karun ye bhi to ek tarah se mohabbat ki haar hai khud ko tumhaare hijr mein barbaad gar karun meri masafaton ki koi intiha to ho in aablon ke sath main kab tak safar karun har shakhs ki zaban pe 'kafir' ka nam ho itna main apne aap ko ab namwar karun