baDh gai hain qurbaten bhi faslon ke sath sath

badh gai hain qurbaten bhi faslon ke sath sath
aur mohabbat badh rahi hai qurbaton ke sath sath

hum jo the mahw-e-safar yak-lakht tanha ho gae
kho gai manzil hamari raston ke sath sath

jo mohabbat ke amin the kis taraf ko chal diye
band darwaza pada hai khidkiyon ke sath sath

chae ka cup hath mein tha aur ghazal jari rahi
faelatun faelatun ki dhunon ke sath sath

main sadak par chal rahi hun tham kar us ka khayal
ek sahra chal raha hai paniyon ke sath sath

qahqahe tanhai dahshat mein meri tarikiyan
raat kati ja rahi hai ratjagon ke sath sath


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close