aisa nahin tha asl mein jaisa bana liya

aisa nahin tha asl mein jaisa bana liya
dil ne kisi ki yaad ka chehra bana liya

pahli nashist aabla-paon mein meri hai
majnun ko main ne dasht mein chela bana liya

khinchi hai apne khun se naqshe pe ek lakir
jangal mein apni marzi ka rasta bana liya

mere liye to in mein koi farq hai nahin
jab chaha apni beti ko beta bana liya

mahrum yun hui hun main us dar ke samne
makdi ne mere honton pe jala bana liya

un mein kashish ajib thi dariya-dili ke sath
logon ne dasht-zadon ko aaqa bana liya

chamka tha ek jugnu mere dil ke aas-pas
ab jis ko sab ne aankh ka tara bana liya

ghar mein jagah hai us ki na hai ghat mein jagah
qismat ko hum ne dhobi ka kutta bana liya

hum ne wahan farokht ki thi wahshaten 'saba'
duniya ne jis dukan mein khata bana liya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close