badh gain gustakhiyan meri saza ke sath sath pyar aata hai teri jaur-o-jafa ke sath sath zoaf se rah-e-mohabbat mein qadam uthte nahin panw jamte hain zamin par naqsh-e-pa ke sath sath chhut kar kunj-e-qafas se nikhat-e-gul ki tarah hum bhi ud kar jaenge baad-e-saba ke sath sath sard aahon se phunka jata hai sine mein jigar aatish-e-gham tez hoti hai hawa ke sath sath mere aansu bhi bahe josh-e-mohabbat mein 'aziz' mere nale bhi rahe meri dua ke sath sath