zanjir-e-pa se aahan-e-shamshir hai talab

zanjir-e-pa se aahan-e-shamshir hai talab
shayad teri gali mein na pahunche ye shor ab

aakhir jhalak uthi wo gareban ke chaak se
jis intizar-e-subh mein guzri thi meri shab

yaad aai dil ko tere dar-e-nim-wa ki raat
rukne lage qadam jo sar-e-rah be-sabab

ye shan-e-dilbari hai ki wo jab bhi mil gaya
paya mizaj-e-dost ko aasuda-e-tarab

is taza-dam hawa mein mere mah-e-nim-mah
us baam se juda na kabhi ho tulu-e-shab

aankhen to khol daur-e-taghayyur hai ham-nashin
kuchh khidkiyan to khol gai hai hawa-e-shab

chalne ko hai hawa-e-gul-o-lala ki jagah
ek naqb si lagati hui sarsar-e-aqab

aankhon pe ek jadu-e-zulmat sa chha gaya
haul-e-afrin hayyulon ke jumbish mein aae lab

kazib sahafaton ki bujhi rakh ke tale
jhulsa hua milega waraq-dar-waraq adab

duniya badal gai hai hisab aur ho gae
ramz-e-taghayyur-e-rukh-e-alam hue hain sab

sadiyon mein ja ke banta hai aakhir mizaj-e-dahr
'madni' koi taghayyur-e-alam hai be-sabab


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close