badh gaya kuchh aur dil ka iztirab kya sitam hai ai nigah-e-baryab ban gai bujhte tabassum ka sharar wo dam-e-rukhsat teri chashm-e-pur-ab ai khusha wo dil ki jis ki har khalish hai mujassam kuchh sukun kuchh iztirab raat ki ninden huin jin se haram dekhta hun un hasin raaton ke khwab be-piye rahta tha jab har dam surur hae wo sarmasti-e-ahd-e-shabab nashsha-e-dil se lahakta tha chaman aasmanon se barasti thi sharab mauj-e-naghma ban gai thi zindagi baj rahe the dil mein taus-o-raubab mahtab-e-shauq hamrah-e-safar aaftab-e-kaamrani ham-rikab wo nigahon mein qayamat ka sukun wo dhadakte dil mein hashr-e-iztirab muddaten guzrin magar ab tak 'jamal' yaad hai wo jagti aankhon ka khwab