tirgi mein ek pal ka hi sahaara kar gaya wo charaghon ki tarah shab mein ujala kar gaya justuju khwahish talab hasrat tamanna aarzu jate jate wo sabhi jazbon ko thanda kar gaya fasla kuchh bhi nahin tha jism-o-jaan ke darmiyan wo magar us mein bhi thoda fasla sa kar gaya ye bahut achchha kiya ki pher li us ne nazar kam se kam mere yaqin ko aur pakka kar gaya abr ka wo ek tukda tha bahut chhota magar chilchilati dhup mein kuchh der saya kar gaya is qadar dushwariyon ka ye bada ehsan hai hadson ka silsila iman pukhta kar gaya khwab aankhon ko dikha kar sare manzar le liye mujh ko binai ata kar ke wo andha kar gaya main use ilzam dun 'mashkur' ye mumkin nahin wo mere alfaz le kar mujh ko gunga kar gaya