badha ab aur taqaze na chashm-e-nam apne chhupa ke sab se kahan tak likhun alam apne hui hain us se wo baaten bhi jo kabhi na huin aur us mein bhul gae hum to kitne gham apne sukun-e-dil ki talab wahshaton ke andeshe yahi rahe hain shab-o-roz besh-o-kam apne kise talash karen kis ke ham-safar ban jaen khud apni rah mein uthte nahin qadam apne kuchh us ki zulf-e-shikan-dar-shikan ke ramz khulen rah-e-hayat samete jo pech-o-kham apne sukun-e-qalb-o-gham-e-dahr ki kashakash mein yahi hua ki tumhaare hue na hum apne