badha hai soz-e-jigar ab madad ko aae koi ghazab ki aag lagi hai zara bujhae koi padi hai dil ko mere khud bhi aadat-e-fariyaad ye chhedta hai har ek ko ki phir satae koi sunae jate hain hum qissa-e-gham-e-furqat khuda kare ki na mahfil mein muskurae koi tadap wo hijr ki thi ab ye maut ki hai tadap jo dekhna ho to ab aa ke dekh jae koi jinhen ye dekh ke tab aati hai wo aur hain log hum apne munh ko phiraate hain muskurae koi